All language subtitles for [Urdu] What’s Wrong With Secretary Kim episode 4 - 1133756v [DownSub.com]

af Afrikaans
ak Akan
sq Albanian
am Amharic
ar Arabic
hy Armenian
az Azerbaijani
eu Basque
be Belarusian
bem Bemba
bn Bengali
bh Bihari
bs Bosnian
br Breton
bg Bulgarian
km Cambodian
ca Catalan
ceb Cebuano
chr Cherokee
ny Chichewa
zh-CN Chinese (Simplified)
zh-TW Chinese (Traditional)
co Corsican
hr Croatian
cs Czech
da Danish
nl Dutch
en English Download
eo Esperanto
et Estonian
ee Ewe
fo Faroese
tl Filipino
fi Finnish
fr French
fy Frisian
gaa Ga
gl Galician
ka Georgian
de German
el Greek
gn Guarani
gu Gujarati
ht Haitian Creole
ha Hausa
haw Hawaiian
iw Hebrew
hi Hindi
hmn Hmong
hu Hungarian
is Icelandic
ig Igbo
id Indonesian
ia Interlingua
ga Irish
it Italian
ja Japanese
jw Javanese
kn Kannada
kk Kazakh
rw Kinyarwanda
rn Kirundi
kg Kongo
ko Korean
kri Krio (Sierra Leone)
ku Kurdish
ckb Kurdish (Soranî)
ky Kyrgyz
lo Laothian
la Latin
lv Latvian
ln Lingala
lt Lithuanian
loz Lozi
lg Luganda
ach Luo
lb Luxembourgish
mk Macedonian
mg Malagasy
ms Malay
ml Malayalam
mt Maltese
mi Maori
mr Marathi
mfe Mauritian Creole
mo Moldavian
mn Mongolian
my Myanmar (Burmese)
sr-ME Montenegrin
ne Nepali
pcm Nigerian Pidgin
nso Northern Sotho
no Norwegian
nn Norwegian (Nynorsk)
oc Occitan
or Oriya
om Oromo
ps Pashto
fa Persian
pl Polish
pt-BR Portuguese (Brazil)
pt Portuguese (Portugal)
pa Punjabi
qu Quechua
ro Romanian
rm Romansh
nyn Runyakitara
ru Russian
sm Samoan
gd Scots Gaelic
sr Serbian
sh Serbo-Croatian
st Sesotho
tn Setswana
crs Seychellois Creole
sn Shona
sd Sindhi
si Sinhalese
sk Slovak
sl Slovenian
so Somali
es Spanish
es-419 Spanish (Latin American)
su Sundanese
sw Swahili
sv Swedish
tg Tajik
ta Tamil
tt Tatar
te Telugu
th Thai
ti Tigrinya
to Tonga
lua Tshiluba
tum Tumbuka
tr Turkish
tk Turkmen
tw Twi
ug Uighur
uk Ukrainian
uz Uzbek
vi Vietnamese
cy Welsh
wo Wolof
xh Xhosa
yi Yiddish
yo Yoruba
zu Zulu

Original subtitles

Kya Hua Hai Secretary Kim ko

Ehsaas

Afsanwi

Bhai

Dost

Kya Hua Hai Secretary Kim ko

Pehli jagah hasil karne ke liye,

kya yeh theek nahi hai ke itna qareeb na chipka jaye kisi ke jisko aap jante bhi nahi ho

Ji, bilkul.

Yeh muqableh mein harne se behtar hai.

Mein samjha. Yeh theek hai kisi ko chuna agar aap pehli jagah hasil kar lein

Ji.

Itna qareeb bhi?

Ji, bilkul.

Itna qareeb bhi?

Farak nai padta.

Itna bhi?

Mein kuch aur baraf leh aati hun baraf ke toleh ke liye.

Waqt aur Subtitles Behtarin Secretaries ki Team ki taraf se apke liye Viki pe

Kya hai yeh? Yeh soh gaye hain?

♬ Jab mein apni ankhein baand bhi karti hun, aap phir bhi mere girdh hote ho ♬

♬ Mein apki muskurahat ki wajah se nai soh sakti ♬

♬ Mein sirf apko hee dekh paati hun, mein apki taraf bharti hun jaise ke mein khwab mein hun ♬

♬ Janeh bina, mein apke qareeb aa gayi hun ♬

♬ Mein apke qareeb aati jaati hun ♬

♬ Kyonki mein sirf apko hee dekh paati hun ♬

♬ Thora thora kar ke, mein ek qadam uthati hun ♬

Chot bache.

Kya aap meri madad kar sakte ho?

Yahan aao. Yahan aao.

Naib e Sadar. Naib e Sadar.

Kya aap theek hain?

Kuch keh lein yeh.

Kya apko behtar mehsoos ho raha hai ab?

Shukriya apka.

Kya apko raat mein aksar daar lagta hai?

Mein keh nai sakta.

Magar aaj, mein akele nai rehna chahta.

Secretary Kim.

Ji?

Sirf aaj ke liye,

kya aap yahan soh sakti hain/.

Kya?

Yahan raat ruk jayein.

Kya? Kya matlab hai apka?

Bilkul, apko khofnak khwab aane ke baad, shayad khofnak hoga akele rehna

Magar aap ek bache bhi nai hain, aap achanak se mujh se kaise keh sakte hain

Kya aap sanjeeda hain?

Mein apko keh raha hun ke mehmano ke kamre mein soh jayein kyonki der ho chuki hai

Aap ghabra kyun rahi hain?

Kya?

Aap yahan pehle bhi soyi hain jab aap raat bhaar kaam karti thi.

Ji, bilkul.

Kya... umeed kar rahi thi aap?

Umeed? Mein iss tarah ki cheezein nahi karti.

Ji?

Yeh karte hain.

Basqismati se, mujhe nai lagta aap aaj raat yahan soh payein gi, Secretary Kim

Maaf kar dein apko mayoos karne ke liye.

Mujhe mayoos karna?

Mere koi khayalat nai thay yahan raat soneh ke!

Mujhe lagta hai ab aap behtar hain, toh mein chalti hun. Toh phir...

Mein soch rahi hun kis tarah ki call thi woh.

Unke izhar buhat gehre thay.

Kist 4

Oh mere khuda! Oh mere, mujhe maaf kar dein!

Apko dihan se rehna chahiye hai.

Mujhe nahi lagta yeh kahin se tootah hai.

Woh nahi.

Mein theek hun.

Agar aap iss tarah phirti rahi, aap gir jayein gi.

Mein khud kar sakti hun yeh.

Shukriya. Aur yeh!

Ji, toh phir.

Woh ek ache insaan hai. Hadh se zayada mukhtalif kisi se jinko mein janti hun

Aap mujhe baithne ka bhi nai kaho ge?

Aap iss waqt yahan kyun aaye ho?

Kya kisi wajah ki zaroorat hai ek bhare bhai ke apne chote bhai ko milne ki

Mein wapis aaya hun kyonki ek nayi shaya ho rahi hai aagle mahine

Kyonki mein ne un se pehle rabtah nahi kiya, Maa aur Abu hain Jeju Island mein

Mein khali ghar mein wapis nai janah chahta tha, toh mein hi kehne ke liye aa gaya

Saach mein, mein wapis aaya hun kyonki mein apko maaf karna chahta tha

Saach mein, mujhe abhi bhi mushkil waqt hota hai yaadon ki wajah se jo waqt darh waqt ubharti hain

Magar nafrat karna aur ghuse mein aane se sirf azeeyat hee jheli hai mein ne

Issi wajah se mein akhir kar apko maaf karne ka soch raha hun.

Kya hum sath mein peeyein? Teenh wajuhat hain ke kyun mujhe pyaar ho gaya aur mein ruka raha France mein

Likhawat, auratein, aur wine.

Aap ab chale kyun nai jateh?

- Kya? - Mein thak gaya hun.

Mein ne inko hatah diya hai, Naib e Sadar, kya aap theek hain?

Kon tha?

Hal mein, mere zehan mein buhat kuch hai toh mein bhool gayi. Mein maafi chahti hun

Mein ne un sab se chutkarah hasil kar liya hai!

Kya aap theek hain Executive Director?

Kim Mi So.

Ji?

Aap ne kaha tha apko daar lagta hai aur nafrat hai makriyon se iss duniya mein sab se zayada, hai na

Ah, ji.

Rasiyan uss tarah ki hain mere liye.

Toh ab se, barah e meherbani inka istemal na kariye ga.

Yeh meri darkhwast hai.

Ji, bilkul.

Mere boss jinki lagta tha koi kamzori nai hai...

Woh pehla din tha jab woh ek aam insaan ki tarah dikh rahe thay, meri tarah

Ah, thais pohanch rahi hai.

Kya mein ne isko buhat zor se baand diya tha jab mein pehle bhaag rahi thi

Kya matlab hai apka ke aap theek ho?

Woh unke takhne ke gird woh zakham kaisa tha?

Tabh naib e sadar ko kya hua tha?

Kya apka takhna theek hai?

Mujhe lagah tha yeh madad kareh ga bahali mein agar aap ne iss pe dabao nai dalah, toh mein ne iss hafte ki bahir ki saari mulaqatein mansookh kar di hain

Mein ne Mrs, Shin ko kaha tha ke subah mein bhi apke liye baraf ka tolah tayar kar dein

Toh phir, ache se araam kariye ga.

Yeh nuktah cheeni.

Yeh kafi thakan deh hai.

Secretary Kim,, mujhe maaf kar dein der se aane ke liye.

Theek hai. Har hal mein kal se jaldi aaiye ga.

Theek hai.

Aur bhi, kya naib e sadar ka takhna theek hai?

Zayada sanjeeda nai hai, magar mujhe lagah ke behtar hoga agar woh araam kar lein toh mein ne unke aaj ke sab mansoobeh mansookh kar diye hain

- Har hal mein unko baad mein dobara se teh karwah dena. - Theek hai.

Mein kar leti hun yeh.

- Kya karein hum? -Mere khayal se humko unko foran se batah dena chahiye hai.

- Ah, waqai! Aap puri jagah mein pheli hui hain! - Hey, yeh hai ek hangami surat e hal.

- Kya maslah hai? - Baat yeh hai ke,

UK Group ke Art ke Markaz ne apni iftetah ko August ki shuru mein kar di hai

Kya?

Kyun hai woh maslah? Kya unko yeh karne ki ijaazat nai hai?

Apko kuch kyun nai patah?! Humare group ka art ka markaz ki iftetah ho rahi hai August 20th ko

Unho ne iss pe ghor o fikar kiya hai aur apne ko humare se pehle teh kar diya hai

Humko humare ki iftetah pehle karni hogi, takeh purah dihan hum pe diya jaye

Aur naib e sadar pehle se hee fikarmaand thay kyonki iftetah taqreeban ek hee waqt thi

- Naib e sadar ke aane se pehle, humko mansoobah banah lena chahiye hai--

Sirf ek hee mansoobah banah sakte hain hum.

Aap aa chuke hain.

Hum bhi iftetah qabal azh waqt kar rahe hain, July mein.

July hai... aagle mahine.

Kafi din nai reh gaye hain.

Ji, mein samjh gayi. Hum iski tayari kar lete hain.

Yahan. Yeh hai art ke markaz ki malumat jo humko mili hai mansoobeh ke mehkame se

Ah, kya yeh markaz ke sarparast hain? Ji, yeh hai naib e sadar ka secretarial office

Naib e sadar art ke markaz aa rahe hain abhi. Unho ne kaha hai ke woh iftetah ko July mein kar rahe hain

Mein tazakreh ke mowadh ko bhi dhoond raha hun art ke markaz ki tameer ke

Har hal mein usko jaldi se tayar kar loh takeh woh chalte hue usko dekhte rahein

Kya koi maslah nahi hoga art ke markaz ki iftetah ka aagle mahine

Badqismati se, khuli hawa ki numaish ki eham kashish, 3D taar-ke marbut ka kaam, abhi tak mukamil nahi hua hai

Humare paas kafi waqt nai hai usko mukaml karne ke liye aur usko tarteeb dene ke liye

Agar yahan se kahin aur karna mushkil hai. Mumkin karein ke woh na mukamil hisaa yahan muntaqil kar dein takeh woh yahan pe kaam kar sakein

Mein samjh gaya.

Koi maslah nai hoga agar aagle mahine iftetah ho theater ka, hai na

Baat yeh hai ke... Basqismati se.

Jab library ki baat aati hai, kya koi maslah hoga agar iska aagle mahine iftetah ho

Baat yeh hai ke...

Kya ye ho sakta hai, ke aap kahein ge, "basqismati se, magar"?

Mein maafi chahta hun. Jab movies, haqeeqat pe banai gayi fim, aur video file ke intezam ki

hum ne un sab ke liye ab tak haq e ishat ka maslah hal nai kiya.

Jab tak ke aap unki numaish nai kar rahe hain, koi maslah nai hona chahiye hai

Aap ko shuru karna chahiye hai unn videos ke sath jinka haq e ishat hai humare paas, tareebat ke tor pe

Mein janta hun ke aap hiran ho gaye hain achanak se plan ke badal janeh ki wajah se. Magar koshish kariye ke apna kaam jaari rakhein bina kisi ghalti ke

Ji, Naib e Sadar.

- Toh phir, hum library ki thori der aur dekhein ge. - Ji.

Mere khayal se yeh kafi achi baani hai.

Mein yahan pura din parhna chahti hun.

Toh phir yeh kamyab tha. Hum ne iss jagah ko yeh maqsad zehan mein rakh kar banaya hai

Mein patah lagati hun foran se ke kya ho raha hai.

Ji, kya yeh center ke alaa afsar hain?

Puri jagah ki bijli chali gayi hai?

Nahi, iss taraf aane ki zaroorat nai hai. Barah e meherbani pehle bijli ko dekh lein. Ji

Bijli chalii gayi hai?

Kya iss tarah ke sakht se mutaliq pehluwon ko ab tak puri tarah mukamil nai ho janah chahiye tha

Aap ne mujhe darah diya, Secretary Kim!

Mein maafi chahti hun. Mein sirf yahan roshni karna chahti thi.

- Aap mujhe ghusa dilane ki koshish nai kar rahi thi? - Bilkul nai.

Magar apke hiran chere ke izhar sirf abhi... ek tarah se cute thay.

Secretary Kim, mein cute nai hun... magar jaan lewa hun.

Ah, meri ghalti.

Toh phir, iss taraf aa jaiye.

Ah, yahan.

Yeh hai kitab jo waqai pasand hai mujhe.

Har Lamhe, Aap Hee Thay

Mere sab khwab, jab pyaar aur dating ki baat aati hai, iss mein hain

♬ Mere zehan ke andar, mere khayalat sirf apke baare mein hain ♬

Mujhe khaas tor pe yeh jumlah pasand hai.

Mein kisi aise ko date karna chahti hun:

agar mera dil har second nai bhi lehrata hai ya har minute,

Mein kisi ko date karna chahti hun jo

ke sirf ek dafah gaale lagane se, hee mujhe mehsoos karwaye jaise ke unho ne pureh din ki sab mushkilat ko dho diya hai

♬ - Thora aur iss tarah... - Thora aur ♬

Kya yeh acha nai hai?

♬ Kya aap samjhein gi kaisa mehsoos kar raha hai mera dil abhi ♬

♬ Mujhe yeh kehna hai, mein kehna chahti hun yeh ♬

Yeh bachganah hai.

Cheezein jo ke dho deti hain din bhar ki mushkilat hain: peenah, vitamins, aur mere alaa darjeh ka shower ka nizam

jis mein jarasism se rahai ke asrat bhi hain. Woh kafi hote hain.

Yeh uss tarah ka dhona nai hai.

Apko shayad lageh ke yeh bachganah hai,

magar mujhe lagta hai ke yeh pyaar hai.

♬ Iss tarah, sirf thora sa abhi ki tarah ♬

♬ Mein yahan hun, mein humesha ek hee jagah mein hun, magar mujhe abhi bhi nai lagta ke apko patah hai ♬

♬ I love you ♬

- Secretary Kim,kya mein ne apko pehle kabhi bataya hai ke aap pyaari hain? - Kya?

♬ Mein ne izhar kiya jaise mujhe nai patah ♬

♬ Kisi tarah se, agar mein apko batah sakun ♬

Nahi.

♬ - Agar mein ne apko batah diya, toh phir bhi... - Toh phir bhi ♬

Acha bilkul mein ne nai bataya hai. Kyonki mein ne kabhi aisa mehsoos nai kiya

♬ Barah e meherbani, mujhe dekho ♬

Mere khayal se kuch waqt lagta hai jab baat aati hai bijli ko theek karne ki

Ah, mein unko dobara call karti hun.

Nahi, theek hai. Sirf chalte hain bahir.

Ghutan ho rahi hai.

Ji, bikul.

Naib e Sadar, bahir janeh ka rasta uss taraf hai.

Secretary Kim, apko shayad amarat ki sakht ache se nai patah hai

Bahir janeh ka rasta haqeeqat mein, uss taraf hai.

Maaf Kari- Ji.

Naib e Sadar, amarat ki sakht ke bajaye,

apko yaqeen kyun nai hai insaan pe jo baar baar chakar lagata tha amarat ka

Jaise ke mein ne kaha tha, bahir janeh ka rasta hai

uss taraf!

Bilkul. Aisa lagta hai sakht se mutaliq baani hui cheez jo ben al aqwami satah pe janeh wale mahir tameer karne wale ki hai jisko mein ne bharti kiya tha

Yeh ha jadeedh wazeh jo ke tabah karta hai haliya khayal ek amarat ki sakht ke baare mein

Ji. Mein yaqeeni tor pe iska istemal karun gi humare marketing ke mansoobeh mein

Toh phir iss taraf. Mere piche aaiye.

Secretary Kim, kya aap ne perfume pehane rakha hai?

Nahi, mein perfume ka istemal nai karti.

Mujhe khate meethe raseele phal jaisi mehak aa rahi hai aap se, Secretary Kim

Agar yeh hai khati meethi raseele phal jaisi mehak, toh shayad yeh hai mera shampoo

Aksar hoti hai "ek khareedo aur ek muft hasil karo" ki taqreebat, toh mein sirf yehi khaas shampoo istemal karti hun

Ek khareedne pe dusra muft?

Kya apa humesha se itna tez chalti thi, Secretary Kim?

Yeh aadat baan gayi meri tezh chalne ki kyonki mujhe apka picha karna parta tha, Naib e Sadar

Mere doh gunah zayada hain, dusron ke muqableh mein.

Mushkil hota hoga apka sath nibhao karna.

Mein puri tarah se iski aadi ho gayi hun ab.

Mujhe kyun nai ehsaas hua ke aap ab tak tez chalti aa rahi hain?

Aam tor pe, apke ehsaas ujagarh hote hain andhere mein.

Toh ek kahawat hai ke aap towajah dein ge kisi cheez pe jo ke aap aam tor pe mehsoos nai karte

Aap kya kar rahe hain? Kya hoga agar apko thokar lag gayi aahista chalte hue

Aap theek keh rahi thi, Secretary Kim.

Kaise andhere mein... mere ehsaas tez hain.

Aap ne mujhe kaha tha ke mein thokar na khaun aur girun.

Yumyung Art ka Markaz

Bijli aa gayi hai ab.

Mein car tayar karwati hun.

Theek hai.

Mein waqai maafi chahta hun. Hum ne apko zehmat di.

Nahi, itni zehmat nai thi.

- Secretary Kim. - Ji?

Library aur film ki numaish ko ek taraf rakh ke, kya koi aur taqreeb hai

Ji, kyonki buhat saari art ki n numaishein hain aur music ke shows bhi teh kiya ja chuke hain

Janeh ke baad, bura mehsoos nai ho raha hai.

Unko kaho ke mehmano ke liye ek taqreeb ka bandubast library mein bhi karein

Theek hai, mein paigham deh dun gi.

Mein bhi sochun gi ke kis tarah ki taqreeb achi hogi.

Aap sochein gi?

Ji. Humare paas kafi waqt nai hai aur yeh kuch hai jis ke baare mein aajkal apko fikar ho rahi hai

Ab waqt hogaya hai!

Oh, yeh theek se paak gaya hai! Aap yaqeeni tor pe master hain pork skins pakane mein

Hai na? Yeh mukhtalif hota hai agar aap isko 5 seconds baad bhi paltateh ho

Aap kis baare mein soch rahi ho?

Mujhe khayalat ki zaroorat hai library ki iftetahi taqreeb ki wajah se

Secretaries iss tarah ki cheezein bhi karti hain?

Aap ne kaha tha aap jald hee nokri chor rai ho. Aap itni wafadarh kyun ho rahi ho

Yeh theek hai. Ek nafseeyati doctor ke nazariye se, aap dikha rahi ho alamat hadh-se zayada dhaal janeh ki

Seedhe tor pe kahun: kaam se lagao.

Mein kaam ke liye junooni nai hun. Mein sirf apna behtarin kar rahi hun akhir tak

Yeh iss liye hai kyonki aap itni sakht mehnat karti ho ke naib e sdar apko akhir tak nai janeh deh rahe hain

Mein ne inn se suna hai.

Ke haq jo woh aap pe jamatah hai koi mazak nai hai.

Aap ne inko yeh sab bataya hai yeh pura waqt

Hey! Jild ki Master, kya apko nai lagta apko zaroorat hai isko paltaneh ki

Abhi nahi! Chalis seconds baad.

Magar mein soch rahi hun ke yeh shayad sirf nahi hai naib e sadar ki haq e malkeeyat jatana

jo ke baan rahi hai wajah unke mujhe roke rakne ki.

- Mere khayal se unko shayad waqai meri zaroorat hai. - Kya?

Mera matlab hai... ajkal, mein sochti hun iss baare mein ke kaisa hoga ke agar mein unke sath na hui

Nahi ho sakta... kya apko pasand hai naib e sadar?

Aap kis baare mein baat kar rahi hain! Nai ho sakta! Aap hadh se bhar rai hain

Agar yeh nai hai toh phir, kyonki aap ne apna zehan banah liya hai, isko theek se khatam karna

Warna aap ki puri zindagi ghume gi naib e sadar ki girdh.

Aap Kim Mi So ke tor pe nai jeeh pao gi, magar sirf Secretary Kim ke tor pe

Mein... kisi aur se behtar janti hun yeh.

Unni, theek se grill karein yeh. Dhuan saarah meri taraf aa raha hai

Aap... Jild Master!

Kya hai? Kya? Kya?

Maati hai. Mi So, theek hai.

Unni, jab khof ki baat aati hai,

un pe kisi din qaboo payah ja sakta hai, hai na?

Bilkul. Agar aap iska samna karte raho ge aur iske aadi ho jao ge, yeh aahista aahista behtar ho jatah hai

Jab aap company chor doh gi, hospital aa janah.

Nai.

Nahi, mein nai.

Toh phir kon?

Nahi, kuch nai hai.

Mein soch raha hun Secretary Kim kya kar rahi hain.

♬Apke nazedeek aaye bina ♬

♬Iss tarah, mein ruk jatah hun apko dekhne ke liye ♬

Woh iss bachgani kitab ko kyun dekhein gi?

♬Qismat ki tarah, aap humesha raho gi mere liye ♬

Ek dushwar aur uljhan wali zindagi mein

Jab ke mein apni khud ki cheezon ko hal kar raha hun...

agar aap achanak se sochte ho, "woh kya kar rahe honge?"

Mujhe chor kar, kisi aur ke baare mein pehle sochna...

Woh akela baan sakta hai pyaar.

♬ Mere khayal se mujhe aap se pyaar ho gaya hai ♬

♬ Aap ho ♬

Agar ek boss dena chahta hai kaam apni secretary ko, bilkil, usko tajasus hoga ke woh kya kar rahi hai

Pyaar? Yeh bakwas hai.

Morpheus hai!

Mujhe maaf kar dein.

Kyonki nayi shaya hone wali ki tareekh teh hogayi hai, sirf wohi khabar pheli hui hai har jagah

Mein bhi iss dafah intezar kar rahi hun kitab ka. Anwan tha...?

Zindagi mein ek Dafa!

Mein ne pehle se hee parh liya hai British wala tarjumah.

Woh thi ek afsurda pyaar ki kahani mein jo sirf ek dafah hoti hai zindagi mein

Mein puri raat royi thi.

- Iss hadh tak hai? - Ji.

Magar, mein sochti hu Morpheus apna chehra kyun nai dikhata?

Agar woh kisi din kahin aa gaye, zabardast ho jaye ga.

Woh yaqeeni tor pe towajah ka markaz honge, hai na?

Mein janti hun, hai na?

Kitab ka concert?

Mein soch rahi thi ke bulaun ek mashur musnif ko aur ek kitab ka concert karte hain library ke iftetah ki taqreeb pe

Ek musnif ko bulana aur towajah humari taraf karna...

Iss surat mein kya khayal hai J.K. Rowling ke baare mein jis ne likhi thi "Harry Potter" ki kitabein

Musnif J.K. Rowling bhi achi hain, magar meri raye mein...

Agar mein ne tajweez di ke bulayein Morpheus ko aur mein unko yahan na le kar aa payi, buhat bhari baat ho jaye gi

M-Mor? Kon?

Mein... nai janti.

Ek mansoobah khasooseeyat ke bina, yeh apki tarah nai hai, Secretary Kim

Thora aur intezar kariye. Mein apko mayoos nai karun gi.

Aap kyun haans rahe hain?

- Mein? - Kya?

Mein company ke aage khara hun. Mein thori der ke liye uparh aa raha hun

- Secretary Kim. - Ji?

- Kya apko patah hai dimagh istemal karta hai 1/4 humare roz ki tawanai ko? - Kya?

Mein apna dimagh buhat istemal karta hun, toh mujhe bhook laagi hai

Ah, mein kuch khane ko tayar karti hun.

Nahi, mein ne pehle se hee soch liya hai kya khana hai.

McDoria jao foran se aur khareedo sab se mehnga magar na mashur cheez menu mein se

Aur doh fries jo ke foran se nikale honge fryer se.

- Hone chahiye woh jo foran se taleh hon. - Kya?

Aur wapsi pe, rukna Foursome Place pe aur ek Americano ek shot dalwah kar lana

aur ek latte doh shots ke sath. Mukamil, doh drinks khareed lana

Theek hai agar apko der ho gayi, toh apna waqt lena.

Aur har hal mein doh sugars aur straws aur paanch napkins lanah

- Achanak se kyun— - Karo jo mein ne kaha hai.

Kya? Ji.

- Lift ki jagah hungami halat wali seedhiyan lena! - Kya?

- Foran! Jaldi se! - Ji!

Woh mujhe seedhiyan lene ka kyun keh rahe hain?

Naib e Sadar Lee Yeong Joon.

Wah, aap mukhtalif lag rahe ho jab mein apko aise dekh raha hun

Aap buhat chote bhai dikh rahe thay.

Aap yahan kya kar rahe ho mujh se pehle rabtah kiye bina? Mere khayal se hum ne kafi mil liya tha ek dusre ko uss din

Sirf kyonki. Mein shaya karne wali jagah gaya tha apni nayi kitab ki shaya hone ki wajah se, aur socha apke baare mein toh yahan ruk gaya

Ah, haan.

Mujhe kuch nai copies mili hain? Kya aap chahte ho ek?

Acha, agar mein ne apko deh bhi di aap nahi paro ge usko, kyonki yeh pyaar ki kahaniyan hain jin mein apko dilchaspi bhi nai hai

Yeong Joon, apko bhi dating karna shuru kar deni chahiye hai.

Apko pyaar ka patah hona chahiye asal zindagi ke baare mein jananeh ke liye

Mujhe aur dusri cheezon ke baare mein jananeh ki zaroorat hai, uske ilawah

Aap buhat shokhe ho.

Mein chahta hun ke aap chale jao, jaise ke aap dekh sakte ho mein kafi masroof hun

Aap theek keh rahe ho. Aap masroof lag rahe ho.

Mein apko aagli dafah milta hun.

Shukriya.

Jooton ke laces wali!

Ah, ji,

Acha lagah apko dekh kar, dobara se milna iss tarah.

Ah, ji. Acha laga apko dekh kar. Toh phir, mein--

Mujhe afsos hota rehta hai ke tabh apka number nahi maanga.

Dobara se iss tarah milna... Mere khayal se yeh qismat hai.

Mujhe maaf kar dein, magar mein masroof hun kaam mein.

Mein bhi masroof hun.

Mujhe pareshani ho rahi hai iss daar se ke aap mujhe number nai dein gi apna aur chali jayein gi

Kim Mi So

Toh phir.

010-2222-1818

Kya hai yeh? Ek naqli number?

Woh itna chipku kyun hai?

Agar woh insaan hota Morpheus, mein usko apna number deh deti

Naib e Sadar, mein hamburgers aur coffees leh aayi hun jo aap chahte thay

Mein nahi kha raha hun.

Kya? Kya aap ne sirf abhi nai kaha tha aap chahte hain yeh?

.Mein ne sirf abhi badal liya hai apna zehan

Theek hai.

Mein nahi janti thi ke mujhe bhi hisaa lena hoga meeting mein.

Yeh hai ek hangami surat e hal. Har hal mein koshish karna ke apni hadh se na bharo jab hum wahan pohanchein ge

Apko samjhna hoga ke mahol kaisa hai.

Ji, mein dihan rakhun gi.

Mera dil buhat tezi se dhadak raha hai ek ghalti karne ke khayal pe

Mera dil bhi dhadak raha hai.

Kya?

Go Gwi Nam waqai thak gaye honge. Kya unko dushwari ho rahi hai unke ajkal ke kaam ke bojh ki wajah se

Ah, aap theek keh rahi hain. Aap ne kaha tha woh insaan kafi kaam ka shidai hai, hai na

Haan. Mujhe shuru bhi na karao.

Assistant Manager Go, kya aap mere sath coffee peena chahein ge?

- Takeh hum thora sa jaag jayein. - Um...

Mere khayal se khud ko jaganeh ka sab se behtarin tareeqah hai kaam karna

Kyonki koi itna josh paida nahi karta jitna naya mansoobah shuru karne se hota

Theek hai?

Theej gaum sab baad mein drinks ke liye chalte hain takeh hum zehni-dabao kaam kar sakein

Oh, acha sunai deh raha hai.

Apke baare mein kya, Go Gwi Nam?

Mein zehni dabao hal nai karta sharab ke sath, magar kam ke zariye karta hun

Kyonki na khatam deh kaam jitna koi aur kaam nai hota.

Oh mere khuda! Yeh buhat qableh tareef hain.

Nahi, iss se aur bhi zayada hai.

Mein ne usna hai ke Go Gwi Nam ek hee jaise dus suits khareedta hai aur unko baari baari pehanta hai

Takeh woh uss waqt meinek aur cheez pe kaam kar sakeh bajaye uske woh apna waqt zayah kareh yeh chunaneh mein ke kon sa kapron ka jorah pehane

Zabardast.

Kitna ahca hoga agar woh baan gaya Sae-Ra-ka shidai kaam ke shidai ke bajaye

?Ji, Gyeong Moon

Aap pe chipka hua hai chawal ka danah--

Beta!

Aap ne kaha tha aagle hafte aayein gi. Aap itni jaldi kyun aa gayi?

Mera beta teenh saal baad wapis aaya hai. Mein wapis aa gayi hoti agar mujhe yahan tehar kar bhi aana parta

Mera beta aur pyaar hogaya pichli dafah se jab mein ne dekha tha apko

Maa, mere khayal se aap aur pyaari hogayi hai jab se mein ne apko pichli dafah dekha hai

Bilkul isko hona tha. Apko patah hai kitna paisa lagah hai iss pe?

Yeh admi.

Inn cheezon ke sath bhi, apko zaroorat hai achi bunyad ki.

Agar hum ne apni puri dolat bhi lagah di apka chehra theek karwane mein, koi fark nai pareh ga

Ah mujhe sirf abhi yaad aaya hai, kya aap mile ho Yeong Joon se?

Ji, woh abhi bhi pasand nai karta mujhe.

Oh, kya matlab hai apka ke woh apko pasand nai karta? Uski sirf dostana shakseeyat nai hai

Mujhe nai lagta woh dostana rishta rakhna chahta hai mere sath. Aur bhi, mere mein buhat kamiyan hain uske muqableh mein

Ji, mein Kim Mi So hun.

Mein apki call ka jawab deh rahi hun kyonki aap ne ek paigham chora tha

- Mein musnif Morpheus ke daftar se hun. - Ah, ji.

Mujhe maaf kar dein magar musnif Morpheus taraqi se multaliq sargarmiyon ki talash mein nai hain iss waqt

Toh phir kam se kam kya aap humari paish kash un tak pohancha sakti hain

Mere khayal se iski madad nai ki ja sakti. Mein samjh gayi.

Waqt aur Subtitles Behtarin Secretaries ki Team ki taraf se apke liye Viki pe

Secretary Kim, kya lagta hai apko aaj Italian khane ke baare mein

Mein maafi chahti hun, magar mein kafi masroof hun library ke iftetah ki taqreeb mein

Kya mein ne kuch kaha tha uss pe?

Agar apka Italian khane ko aaj dil kar raha hai, usko mangwah lein kaam karte hue. Aur humare karobar ke card ko istemal kar lena uski qeemat ki fikar kiye bina

Shukriya mere baare mein sochne ke liye.

Sakht mehnat kariye ga.

Morpheus se interview karna? Haan, mein ne woh pichle saal ki thii?

Kya aap unko zaati tor pe mili thi?

Mein ne interview kiya tha likhawat mein.

Mein ne unko sawalat bheje thay e-mail ke zariye, aur unke jawab bhi e-mail ke zariye mile thay

Toh phir, kya aap deh sakti hain mujhe woh e-mail--

Bilkul, mein nai deh sakti. Mein ne wadah kiya tha mein unka e-mail kisi ko nai dun gi

Kya yeh ache tarzeh adaa nahi hote ke ek kiya huda wadah na torah jiya

Aap samjhti hain, hai na?

Ji, bilkul.

Magar, kya apko yaad hai qanooni karwai jo taqreeban hone wali thi humare naib e sadar ki zaati zindagi mein mudakhlat ki wajah se

Aap nai bhooli hain kaise sambhali thi cheezein mein ne takeh apko court mein ghaseeta na jaye

Kya?

Kya yeh ache adaab nahi hain kisi ke liye jisko madad mili thi ke woh madad karein bhi

Aap samjhti hain, hai na?

Ji.

Kahan gaya hai woh email?

Yahan hai.

morpheus@dream.com

Kisko patah tha ke uska email hoga asal mein "morpheus"?

Kya mein bhi silaheeyat dikhaun apni maharat ki?

Mein hun Kim Mi So Yumyung Group ke Secretarial Office se.

Yeh waqai zabardast hai.

Kya apko achi lagi hai whisket jo mein ne chuni hai?

Nahi, mera aksa iss glass mein. Mujhe pasand hai woh.

Isko dekho toh phir buhat zayada.

Aur bhi, mein ne suna hai ke aap art ke markaz ki iftetah jald hee kar rahe ho

Aap mein itni tez aage bharne ki salaheeat kaise rakh sakte ho?

Yeh un sab waqton mein se ho raha hai jab mein apne karobar ke safar pe mulk se bahir hunga

Mein ne suna hai bijli bhi chali gayi thi. Mere malik ko buhat mushkil waqt se guzarna par raha hai

Ek mushkil waqt?

Nahi, kafi mazah aaya tha.

Mazah aaya tha?

Acha, mujhe umeed hai ke mustaqbil mein art ke markaz mein aur bijli nai jaye gi

Mein yaqeen karun ga ke har hal mein aisa kuch na ho mustaqbil mein

- Apko yaqeen hai mujh pe, hai na? - Shukriya.

Theek se karo yeh.

Jab kabhi bhi aap ek copy banati ho kisi cheez ki, yahan ya whaan se kath jati hai

Apki wajah se, mein waqai —!

Jeeh nai sakti. Jab kabhi bhi apko koi mushkil ho, mujhe batah dena, Ji Ah

- Yahan. - Ah, ji.

Yeh hai PowerPoint library ke iftetah ki taqreeb ke baare mein.

Ji, yahan deh dein.

Mein har hal mein yeh Secretary Kim ko deh dun gi.

Theek hai, toh phir.

Humare Go Gwi Nam aur pyaare lagte hain subah mein.

Magar, khaas tor pe Go Gwi Nam ek jaise dus suits khareedte hain aur unko baari baari pehanate hain

Kya yeh saach hai?

Mein ne suna hai aisa hai. Ke woh kaam karta hai bajaye iske ke woh istemal kareh waqt jo usko lageh kapre khareedne mein

Mujhe nai lagta aisa hai.

- Mere khayal se wohi kapre hain jo unho ne kaal pehane thay. Chawlon ka ek daanah laga hua hai— - Hey!

Kaise hui apki himat humare Go Gwi Nam pe aisa ilzam lagane ki? Kya aap daant khana chahti hain

Mujhe maaf kar dein.

Wapis jao kaam pe.

Ah, sirf hath jaiye rasteh se.

Yeh hain mansoobeh jo ke mansoobah bananeh wale mehkame ne bheje hain library ke iftehah ki taqreeb ke mutaliq

Kuch bhi ejaadi ya dil chune wala nahi hai iske baare mein.

Kitab ke concert ka kya hua jiska zikar kiya tha aap ne pehle?

Mein uska patah lagane ke darmiyan mein hun. Mujhe maaf kar dun

Naib e Sadar, mein e lamha lun gi apki tir theek karne ke liye.

- Dobara se— Mein kar lun ga aaj. - Theek hai.

Naib e Sadar, mein yeh phone call lene laagi hun.

Achanak se, mera dil...

Mujhe mere doctor se jald hee milna hoga. Mujhe nahi lagta mera dil kafi theek hai

Secretary Kim, kya mein ne apko bahir nahi bulah liya jab aap masroof thi, hai na

Nahi, magar kya moqah hai, Madam?

Mein apko yeh dene aayi hun. Yahan.

Yeh hai apka.

Nahi, Madam! Apko mera khayal rakhne ke liye iss hadh tak janeh ki zaroorat nai hai. Yeh sab theek hai

Qabool kar lo yeh. Mein ne yeh khareedah tha jab mein apna khareed rahi thi

Magar... kya Yeong Joon waqai masroof hai aaj?

Kyonki art ke markaz ka iftetah qablaz waqt kar diya gaya hai, woh thore aur masroof hogaye hain ajkal

Toh phir, uski halat shayad achi nahi hogi.

Agar mein ne usko aaj aa kar khana khane ko kaha,

kya woh chirchire andaz mein jawab deh ga?

Nahi, mujhe nahi lagta woh iss hadh tak jayein ge.

Khaas tor pe kyonki aaj raat unka koi aur mansoobah nahi hai.

Waqai?

Kya aap ghar ja rahi hain? Kya mein apke liye car tayar khe arwah dun

Nahi. Jo aap ne kaha hai, mere khayal se mein zaati tor pe ja kar mil sakti hun Yeong Joon se

Secretary Kim, shukriya buhat zayada.q

Hey, Yeong Joon.

Aaj raat, kya khayal hai hum puri family ke tor pe akathe hon aur kam se kam khana

- Mein nahi sakta hun. - Kyun?

Secretary Kim ne kaha tha apka koi mansoobah nahi hai aaj raat.

Kya aap ne unko dobara se call ki?

Mein ne usko tohfa dene ke liye bulaya tha.

Khushqismati hai Secretary Kim ki. Unko tohfa bhi mila hai. Mein bhi tohfa hasil karna chahti, hun

Yeong Joon, kya aap apni maa ko ek tohfa nai deh sakte?

Mein chahti hun ke aap ghar aap aur akathe ho family ke tor pe--

Mein nahi sakta hun.

Apki maa, albatah aap mere zahur ko dekh kar nahi keh sakte, ke mein budhi ho gayi hun

Mere sirf doh bache hain.

Kyonki aap mein se ek mulk se bahir rehta hai, mein nahi janti ke agar mein usko dekhun gi har doh ya teenh saal mein

Mein sochti hun ke kitni dafah mein aap sab ko sath dekh sakti hun apne marne se pehle

Sath mein khana khate hain, hm?

Yeong Joon.

Mujhe maaf kar dein.

- Kya acha nahi gaya hai? - Haan.

Saach mein, ek khana nahi hai jiska hisaa bananah chahe Yeong Joon

Woh koi nahi jo suneh ga sirf kyonki ke mein usko qail karne ki koshish kar rahi hun

Koi nahi hai hal-

Meri heels pe maati lag gayi hai.

Kya mein apko kuch dun saaf karne ke liye?

Yahan--

Woh kahan gayi hain apna bag yahan chor kar?

Ji, Madam, aap apna bag yahan chor gayi hain--

Maaf kariye ga?

Oh, Yeong Joon ko kaho ke usko ghar wapis le aao khaas torh pe aaj raat

Ah, ji, mein samajh gayi.

Apko milti hun.

Mein yeh ghar bhej deta hun Secretary Yang ke sath.

Aap nahi sakte hain.

Apki maa ne kaha hai ke yaqeeni tor pe aap hee yeh ghar la kar dein unko

Aap ki wafadari kahan pe hai, Secretary Kim?

Kya meri maa mere se zayada eham hai?

Nahi, aap aur zayada eham hain.

Issi wajah se mein apko yeh batah rahi hun.

Apke dil ko fikar hai apki maa ki wajah se.

Mein ne nahi janti aap iss surat e hal mein itne ziddi kyun ho rahe hain

magar kuch na karein jis se apke dil ko sukoon na aaye. Toh phir mein chalti hun

Waqt aur Subtitles Behtarin Secretaries ki Team ki taraf se apke liye Viki pe

Kuch yeh bhi, khayein.

Mein theek hun.

Shayad, aap woh purana fiqrah toh nahi kehne wali, "Mera paith sirf aap logon ko khata dekh kar bhar gaya hai," hai na?

Nahi, nahi. Kyonki apki maa ajkal apne jism ka khayal rakh rahi hain,

woh aam tor pe khane mein itna nahi khati hain.

Yeh theek hai. Nahi ho sakta ke mein barqarar rakh sakun iss jism ki sakht bina kisi koshish ke

Yeong Joon, humko Mi So ko bhi bulah lena chahiye tha, hai na?

- Mi So? - Yeong Joon' ki secretary.

Woh hee sirf akloti insaan jis pe isko bharosa hai aur inhesar kar sakta hai

Kyonki Secretary Kim hoti hain Yeong Joon ke sath, mein buhat shukar guzar hun aur sukoon se

Unka naam bhi pyaara hai. Kim Mi So.

Uska chehra bhi pyaara hai. Apke mulk se janeh se pehle, Mi So ko bulate hain aur sab sath khate hain

Oh haan, kya apko itelah mil gayi hai ke art ke markaz ka iftetah jaldi ho raha hai

Ji, ji. Mien ne suna hai UK group ne uss tarah ka faisla kiya hai.

Aap ne acha kiya hai. Aap mere pe gaye ho jab baat aati hai muqableh karne ki ehleeyat ki

Magar agar aap ne achanak se bhara diya hai iska kaam, kya apke paas aur fikrein nai ho gayi

Apki maa ko apki sehat ki fikar ho rahi hai.

Yeh apna dihan ache se rakhta hai.

Apki sehat humari company ka sab kuch hai.

Ji, fikar na karein.

Kuch yeh bhi, khao. Aap sirf chawal kyun kha rahe ho?

Yahan yeh pasli bhi khao. Yeh mazedar hain.

Ah, aap keh rahe hain cheezein jo ek maa kehti hai.

Apni coffee peeh lo.

Baad mein. Mein kaam kar raha hun.

Acha, mujhe buhat tajasus tha uss secretary, Kim Mi So ke baare mein

Woh pichle noh saalon se khud ko apki shakseeyat ke sath mila rahi thi

Kis tarah ki larki hai woh ke aap aise ho?

Apka apna munh baand rakhna aur kuch na kehne se lagta hai ke aap usko mujhe nai dikha rahe ho

Kyun? Agar mein ne uss se mil liya...

kya apko daar hai ke mein usko date kar lun ga?

Chale jao.

Mujhe waqai aap samajh nahi aate.

Agar mein apna hath pehle aage bharata hun, kya apko shukarguzar nahi hona chahiye hai

Kyun karun mein apka shukriya?

Aap humesha ki tarah khud garz ho.

Aap pooch rahe ho kyonki apko nai patah?

Mein ne kaha mein apko maaf kar deta hun.

Mein keh raha hun jo maazi mein hua usko maazi mein rehne dete hain, aur ek dusre se aise taluq rakhte hain jaise kabhi kuch hua hee nahi tha

Kisi ke liye jo keh raha hai ke woh maaf karne ke liye raazi hai, kya aap iss mein kafi takheer nahi kar rahe ho

Ek yaad pe jo beesh saal pehle hui thi. Ek yaad jo mujhe yaad bhi nahi hai

Lee Yeong Joon.

Asal mein kyun karte ho aap mujh se itni nafrat?

Mujhe nafrat nahi hai aap se. Magar...

Mujhe haqarat mehsoos hoti hai apki taraf.

Sirf cheezein maat kaho kuch bhi janeh bina!

Agar yeh uske liye na hota jo aap ne tabh kiya tha, jis jagah pe aap ab ho woh meri hoti

Kya aap waqai is tarah sochte ho?

Kya?

Aap kamzor aur na ehal hain, Bhai.

Aap uss tarah ke insaan hain, jo ke khud ki hifazat karne ke liye, dusron ko chot pohanchata hai

Agar woh hadsah kabhi na bhi hua hota, aap shayad phir bhi iss jagah pe nahi pohanche hote

Aap gadhe!

Aap logh kya kar rahe hi?! Kya aap bas nai kar sakte?!

Bas kar doh. Barah e meherbani, bas kar doh.

Bas kar doh, barah e meherbani.

Bas kar doh, bas kar doh.

Hello?

Musnif, mein ne apko bhej diya hai email ke zariye kitab chapne ki taraqi se mutaliq ka mansoobah

Kyonki jaldi hai, mein chahti hun ke aap foran tasdeeq kar dein.

Ji, mein samjh gaya.

"Yeh hai Mansoobeh ki Tajweez" "Mein hun Yumyung Group' ke Naib e Sadar ki Secretary, Kim Mi So"

Naib e Sadar!

Aap kya soch rahi thi ke aap apne samne kisi ko dekh bhi nahi saki

Aap yahan kyun aaye hain, Naib e Sadar?

Ah, sab aandeh tooth gaye sawaye ek ke. Aap call iye bina kyun aaye hain

Naib e Sadar, apka chehra aise kyun hai?

Apko jananeh ki zaroorat nahi hai.

Kya aap yahan apne ghar se nahi aaye hain? Kya raste mein kuch hua hai

Aap theek keh rahi ho, mein ghar se aaya hun. Aur sawalat maat karo

Pehle, iske jarasim dur karte hain. Zakham ho jaye ga.

Rukiye. Teesh seconds- nahi, ek minute.

Teenh, teenh. Teenh, teenh.

Naib e Sadar.

Mera ghar thora sa khasta hal hai, hai na?

Nahi--

Yeh buhat khasta hal hai.

Andar aa jaiye.

Mein theek hun.

Mein theek nai hun.

Apke buhat saare lamhe hote hain jahan tasveerein li jati hain jab aap kaam ki taraf se hazri dete hain

Magar agar wahan maslah hota hai, apko patah hai woh meri zimedari hoti hai, hai na

Barah e meherbani mere piche aaiye.

Mujhe maaf kar dein magar... kya aap thora sa qareeb aa sakte hain

Kisi surat me, maat lagana saniplast iss pe.

Kya apko lagta hai qableh zayah saniplast jache gi mere jaise chehre pe

Mein nahi lagati yeh.

Magar... waqai kaise laagi hai apko choth?

Yeh aisa zakham nai lagta jo ke sirf aise hee ubhra hai.

Kya apki shayad larayi hui hai kisi se?

Kya mein ne apko pehle nai kaha tha ke aur maat poochein?

Mujhe maaf kar dein. Mein ne sirf na janeh bina...

Um... kya aap khana chahte hain ramyeon aur toh phir chale janah

amyeon?

Jab apko abhi ki tarah acha mehsoos nai hota hai, ubli hui mirchon wali ramyeon ka ek payalah khane se hee apka mazaj acha ho jatah hai

Behtarin.

Pehle, woh ek andaa jo nai tootah tha aur zinda raha,

mein woh apki plate mein daal dun gi.

"Homework! Cheezein yaad karna apni zindagi dao pe lagah kar."

Yeh executive director hai purah mazak!

"Har Lamha Aap hee Thay" Ha Tae Wan ki taraf se

Yeh bachganah kitab yahan bhi hai.

Kya patah hoga apko, Naib e Sadar? Aap pyaar ko jante bhi nai hain.

Toh phir, kya aap janti hain pyaar? Aap humesha se akeli hain.

Mein ne iske baare mein kitabon mein buhat parha hai.

Kitna acha hai.

Paani shayad ubal raha hoga!

Iss guriya ka munh-aise kyun kiya hua hai?

Nahi, aap nahi kar sakte hain! Aap uss simth mein nahi ja sakte hain

Nahi!

♬Apke nazedeek aaye bina ♬

♬Iss tarah, mein ruk jatah hun apko dekhne ke liye ♬

Thori der ke liye.

Mein thori der ke liye aise rahun ga.

♬Qismat ki tarah, aap humesha raho gi mere liye ♬

Mein ab se buhat pyaar karna chahta hun.

♬Aap ho, agar mein ne apni dono ankhein baand bhi kar li ♬

Mein apko pyaar karna chahta hun.

♬Aap ho, mein sirf apko dekhta hun ♬

♬Aap ho, raat ke asman wale sitaron ki tarah ♬

♬ Aap mera dil roshan kar deti ho, mere khayal se mujhe aap se pyaar ho gaya hai ♬

♬ Aap ho ♬

♬ Kyonki yeh mera pehli dafah hai, mein nai janta ♬

♬ Mein sab kuch apko kaise deh sakta hun ♬

Kya Hua Hai Secretary Kim ko ~Aagli kist ka ishtehar~

- Date? - Haan.

"Kya aap khana chahte hain ramyeon?" ka matlab hota hai

- agar aap ramyeon khate hain... - Mujhe aaj mazah aaya hai ramyeon ka.

"Humah kar rahe hain date."

Kuch iss tarah ka.

Kon hai woh? Shayad, tafreehi mohabbat?

Aap waqai kafi hasas hain kyonki aap ek musnif hain.

Kaise karun iqrar...

Kon se restaurants mashur hain ajkal? Ek achi aur aam jagah magar khaas taham sadah taham bharkeeli jagah jahan iqrar kiya jaye ;

Iqrar karna , aap kehte ho...

♬ Aap ho~ ♬

Secretary Kim, mein apko pehle se mubarakbaadh deta hun.

Aap ne kab se shuru kiya hai yeh?

Sirf bas kar doh.

♬ Hum sath chal rhae hain, ek benoor sarak pe ♬

Can't find what you're looking for?
Get subtitles in any language from opensubtitles.com, and translate them here.